January 4, 2012

Chalo ab mil k...

Chalo ab Mil k Hijr-o-Habs ka mosam badaltay hain
Zara sa Tum badal jao zara sa Hum badaltay hain...
Bas itna yaad rakh lena k wese kam badaltay hain
Magar jab Hum badaltay hain to phir Peham badaltay hain
Agar tum ye samajhtay ho tumhara Ghum ziada hay
To ab ki baar apas main hum apne gham badaltay hain..!!

December 29, 2011

Kash...

Kash Aazad qabeely k sukhan war hote
Hum muhazon pe na bikte to sikander hote
Khud farebi k kharabon Main rahe hum Warna
Apni auqat Mai rehte to qalander hote
Mauj-e-kosar ki qasam hum thay muhabbat k walli
Khaak k dar pe na jhukte to samander hote
Aankh ne khuwaab k laalach Mai khayanat kar li
Warna hum jaagti raaton k payamber hote
Gar karri dhoop main do pal ki amaan mil jati !
Apni nazmon Mai kaee sard DECEMBER hote..

December 21, 2011

Fav lines these days....

Kabhi ye haal k dono main yakdilli thi bohat
Kbhi ye marhala jese key aashnaai na thi
Key dhoop chaaon ka aalam raha judai na thi

December 16, 2011

Tajurba...!!

Tajurba insaan ko galat faisle se bachata hay Magar tajurba galat faisle se hi hasil Hota hay
(Ashfaq Ahmed)

December 15, 2011

December

Teri yaad ki barf bari ka mosam
Sulagta raha dil k ander akele
Irada tha jee loon ga tujse Bichar kar
Guzarta nahi ik december akele

December 9, 2011

November 22, 2011

???

Har jurm meri zaat se mansoob hoa hay.... Kia mere siwa shehr main masoom hain sare

October 8, 2011

aik sher...

Mere naseeb-e-shauq main likha tha ye muqaam
Har soo tere khyaal ki dunya hay, tu nahi....!!!

September 26, 2011

Lamha-e- Fikar

Sharafat sozz tasweeron ki uryaani nahi jati...
adab ki aar main targheeb e roomaani nahi jaati
Khuda maaloom nasl e nau ka kia anjaam hota hay..
watan say fahash naghmon ki faraawaani nahi jaati
azaab aaye to us main sainkron ki jaan jaati hay..
nahi jaati to shetaanon ki shetaani nahi jaati
kahin basti ki basti do boond paani ko tarasti hay...
kahin barish barasti hay to tughyaani nahi jaati
jahan k zarray zarray say numanyaan hay jalaal us kaa
magar humse KHUDA ki zaat pehchaani nahi jaati...!
zamana is qadar qail hoa hay Faiz jhooton ka...
jo sach kehtay hain unki aik bhi maani nahi jaati...!!!

September 9, 2011

.....

Jab shaam ky saa'ey dhaltay hon
kuch panchi qataar main urte hon
kuch rasta kathin ho wese bhi
kuch door ufaq pe manzil ho
ik panchi gaaeb ho jaey
or bedam ho kar gir jaey
to rishtay natay pyaray sabhi
kab is ki khatir ruktay hain
is dunya ki hay reet yehi
jo saath chalo to saath bohat
gar ruk jao to tanha ho...