August 30, 2010

Dua

jo milay hayat-e-khizar mujhe
or usay main sarf-e-sana karon
tera shukar phir b adaa na ho
tera shukar kese adaa karon
tere lutf ki koi had nahi
ginon kis tarha k adad nahi
nahi koi tere siwa mera
jisay yaad tere siwa karon
main bohat hi aajiz-o-benawa
tere agay meri bisaat kiya
main kaha karon TU suna karay
TU diya karay main liya karon
Tere dar pe kham rahay sar mera
Teri rehmaton say guzar mera
koi bhool ho to maaf kar
mujhe bakhsh day jo khata karon
(ameen)

August 23, 2010

Shikwa ~ Jawab e Shikwa

SHIKWA...!
roz-e-hasr main bekhuf ghus jaaon ga jannat main
wahan say aay thay AADAM wo mere baap ka ghar hay


JAWAB SHIKWA....!
in aamaal k saath tu jannat ka talbgar hay kya?
wahan say nikalay gaay thay AADAM to teri auqaat hay kya?

Sawal

Ishq qatil say bhi,maqtool say hamdardi bhi
ye bata kis say mohabat ki jaza mangay ga?
sajda khaliq ko bhi,iblees say yarana bhi
hashr main kis say aqeedt ka sila mangay ga???

August 20, 2010

HAWA THAMI THI ZAROOR LAIKIN...!!!

hawa thami thi zaroor laikin...!
wo shaam b jesay sisak rahi thi
k zard paton ko aandhiyon nay
ajeeb qisa suna diya tha
k jisko sun kar taman patay
sisak rahay thay
bilak rahay thay
janay kis saa'nehay k gham main
shajar jaron say ukhar chukay thay
bohat talasaha tha hum ne tum ko
har aik rasta
har aik waadi
har aik parbat
har aik ghaati
magar kahin say teri khabar na aai
to ye keh k hum ne dil ko tala
hawa thamay gi to dekh lain gay
hum uskay raston ko dhoond lain gay
magar hamari ye khush khyaali
jo humko barbaad kar gai thi
hawa thami thi zaroor laikin
bari hi mudat guzar chuki thi
hamaray baalon k jangalon main
sufaid chaandi uter chuki thi
falak pe taray nahi rahay thay
gulaab pyaaray nahi rahay thay
wo jin say basti thi dil ki basti
wo yaar saray nahi rahay thay
magar ye almiya sab say baalatar tha
kay
hum tumharay nahi rahay thay
kay tum hamaray nahi rahay thay
hawa thami thi zaoor laikin
bari hi mudat guzar chuki thi....!!!

August 17, 2010

FOR FLOOD VICTIMS IN PAKISTAN..!

wo jo dar badar khaak basar hoay
wo jo lut gaay beghar hoay
wo na mangain tumse tumhara ghar
na tumhara sukh na tumhara dar
wo to chahtay hain guzar basar
unhi waadiyon main umer bhar
ye kara waqt ye talkhiyaan
ye gardishain ye bijliyaan
hay hamary RAB ka ye imtehan
chalo kaaflon ko karo rawan
aao mil k unka saath do
jo madad karay wo haath do
k ye apni dharti k log hain
inhain zindagi ki soghaat do
INHAIN PHIR WOHI HAALAAT DO....!!!

August 13, 2010

MERE WATAN K UDAAS LOGO...!!!

mere watan k udaas logo...!
na khud ko itna haqeer samjho
k koi tumse hisaab mangay
khwahishon ki kitaab mangay
na khud ko itna qaleel samjho
k koi uth kar kahay ye tumse
wafain apni humain luta do
watan ko apnay humain thama do
utho or uth kar unhain bata do
k hum hain ehl-e-imaan saray
na hum main koi sanam kada hay
hamaray dil main to ik khuda hay
mere watan k udaas logo...!!
jhukay saron ko utha k dekho
qadam to agay barha k dekho
hay AIK taqat tumharay sar pe
karay gi saya jo un saron pe
qadam qadam pe jo saath day gi
agar giray to sambhal day gi
mere watan k udaas logo...!
utho chalo or watan sambhalo...!

August 11, 2010

JUDAAI

khwaab posh aankhon main
aanso'on ka bhar jana
hasraton k saahil per
titliyon ka mar jana
habs ki hawaaon main
khushbo'on ka dar jana
dil k garam sehra main
hasher ka bapa hona
dard-e-laa dawa hona
kya bohat zaroori hay
abb tera juda hona...??

August 10, 2010

WAQT

kabhi jo waqt per jaay
tumhein mujse bicharna ho
tumhein waday se phirna ho
to beshak dair mat karna
mujhe naraz kar dena
tum apna rukh badal lena
tum apni simt chal dena
magar jab lot k ana...!
tumhein mitti k teelay per
main shaayed na dikhai don
mager heraan mat hona
wahin do chaar qadmon per
mazaar-e-bekaraan hoga
wahin ik phool rakh dena
aur ik shama jala dena
tum apna rukh badal lena
AUR APNI SIMT CHAL DENA...!!!

August 8, 2010

ANDESHA..!

zaroori nahi hay..!
zaroori nahi hay jo sahil ki geeli khunk rait per
hath main hath day kar
safar or talatum k qisay sunay
jazeeron,hawaaon or andaikhay mosam
or ankhon say ojhal kinaaron pe bikhray
hoay manzaron ,zaaiqon or rangon ki batain karay
wo in wardaton say guzra bhi ho !
gar kahay..!
aao hum in preshan mojon ka peecha karain

jo tere or mere haathon ko choomti hain
talatum ki benaam manzil say guzrain
ye dekhain hawain kisay dhoondti hain..?
to chalnay say pehlay zara soch lena
zaroori nahi hay..!
jo andekhay raston ki khabrain sunaay
wo in raaston ka shanasa bhi ho
kahin ye na ho
jab tum
samandar main usko dhoondo to wo

saahilon pe khara muskurata rahay...!!!

YE TAY HOA THA...!!!

ye kya k saansain ukhar gai hain safar k agaaz hi say yaaro
koi bhi thak k na rastay main nidhaal hoga ye tay hoa tha

wohi hoa na badaltay mosam main tumne humko bhula diya hay
koi bhi rut ho na chahaton ka zawaal hoga ye tay hoa tha

chalo k fezaan kashtiyon ko jala dain gumnaam saahilon per
k abb yahan say na wapsi ka sawaal hoga ye tay hoa tha

mohabaton ka har aik lamha visaal hoga ye tay hoa tha
bichar k na ik dosray say malal hoga ye tay hoa tha

August 6, 2010

Jo mila nahi so mila nahi

mujhay roz-o-shab ki kitab main
koi aisa harf na mil saka
jisay misl-e-gul ka khitab don
jisay chaandni ki si taab don
jisay dhoond kar
jisay khooj kar
rukh-e-asman pe saja b don
mere khoon-e-dil ki nigarishain
meri roh tak k fishaar bhi
yahan ilm-o-fun ki dokan per
baray sastay daamon say bik gaay
mujhay tor kar
mujhay phor kar
mere doston nay jla diya
rah-e-zindagi k ghubaar main
meri raakh tak ko ura diya
mujhay phir b koi gila nahi
jo mila nahi so mila nahi....!!!

August 5, 2010

KAHO TO LOT JATAY HAIN...!

kaho to lot jatay hain...!
abhi to baat lamhon tak hay
saalon tak nahi aai
abhi muskaanon ki nobat bhi naalon tak nahi aai
abhi to koi majboori khyaalon tak nahi aai
abhi to gard pairon tak hay
baalon tak nahi aai
kaho to lot jatay hain...!
chalo ik faisla karne shajar ki aur jatay hain
abhi kajal ki dori surkh gaalon tak nahi aai
zaban danton talak hay,
zehr pyaalon tak nahi aai
abhi to mushk-e-kastoori ghzaalon tak nahi aai
abhi rodaad-e-beunwaan hamary darmiyan hay
dunya walon tak nahi aai
kaho to lot jatay hain...!
abhi nazdeek hain ghar or manzil door hay apni
mubada naar ho jay
ye hasti noor hay apni
kaho to lot jatay hain...!
ye rasta pyaar ka rasta
rasam ka daar ka rasta
bohat dushwaar hay jana..!
k is rastay ka har zara bhi ik kohsaar hay jana
kaho to lot jatay hain...!
mere baray na kuch socho
mujhe tay karna ata hay hay
rasam ka daar ka rasta
ye gaasibon bhara rasta
ye andhi gaar ka rasta
tumhara narm-o-nazuk haath ho agar mere haathon main

to main samjhon k jese do jahan hain meri muthi main
tumhara qurb ho to mushkilain kaafor ho jain
ye andhay or kaalay rastay purnoor ho jain
tumharay gaysoo'on ki chaaon mil jay
to sooraj say ulajhna baat hi kya hay
utha lo apna saya to meri auqat hi kya hay
mere baray na kuch socho
tum apni baat batlao..??
kaho to chaltay rehtay hain
kaho to lot jatay hain...!!!

KAHO TO LOT JATAY HAIN...!

August 1, 2010

BEHISI

Behisi moat b to hoti hay
marne wala b sun nahi sakta
uski aankhain b dekhti kab hain
wo b rukta nahi hay kehnay say
jo ho chahay nawishta-e-dewar
kuch b likha wo perh nahi sakta
kya hay acha bura,wo kya janay
kese apnay praay pehchanay
behisi moat hi to hoti hay
HUM B KATBAY UTHAY PHIRTAY HAIN.....!!!