July 24, 2014

Palestinian mother's bed time story to her child......!!!

Dehakti aag say roshan hoi ik raat,
or aai sada ik be'qara'n ehsaas k hamraah

Mere lakht e jigger aao
Mai tum KO neend ki us pursakon wadi mai chour aaoun
Jahan per kuch bhi khonay ka
Koi dharka nahi hoga
Jahan per her taraf say mot ka khadsha nahi hoga
Jahan kanon mai phattnay, aag barsaanay ki aawazain,
Tumhain hargiz na cherain gi,
Jahan tum apni marzi ki kisi pyaari si dunyan mai,
Baharain ourh kar phirna
Tum Apne chahnay waloun ko apne samne rakhna
Galay mai baanhe'n dalay apne baba say hazaron, ankahi batain bhi kar lena
Or unse pooch bhi lena, k unka haal kesa hay
Khuda ki mezbani mai bohat aaraam say hon gay
Aur Oonchi masnadon per wo bohat hi shaan say hongay

Salaam un per Jo haq kay raston per sar kata Jaen...
Salaam un per Jo apni asal manzil ko bhi pa Jaen

Mere lakht e jigger jao
Sukon ki waadiyon ki sair ko jao
Ager mohlat mili hum ko

Kay ab k anay wali subh ki kirnain,
Humaari aankh nay dekhin

To qissay sbb sunon gi mai
Tumhaaray khwaab Kay sab jugnowon say bhi milon gi mai

Mager tum jantay ho na
Ye dunya chaar din ki muzmahil faani kahani hay
Ager ik bay'rehm awaaz tum pao, or uskay bad ik aandhi
To tum halkaan matt hona
Ye chnd lamhon ki honi ik bhyanak hadsa hoga
Or uskay baad ka manzar
Tumhaari pursakon dunya ka hi hoga...

Mere lakht e jiger jao khuda Hafiz
Ab apne Rab ki jannat main milain gay
Fe amaan Allah......

July 21, 2014

GAZA

Laho mai doobay wo phool chehray
Sadaen deti jawan lashain
Asmaton ko sambhalti , behaal hoti bint e hawa
Sawaal karti zaeef aankhain
Ujarti galiyaan sulagtay aangan
Khon ki nadiyaan chahar janib
Sisak sisak k bula rahi hain
Wo day rahi Hain sadaen tum ko
Kiyn apne ghar k sakoon mai tum
Bhulaey bethay ho dard unka
Wo pochtay hain kab Aao gay tum
Mard  e momin ki meraas hay jo
Wo shan apni dikhao gay tum
Palat k rakh do gay bazi unki
Hisaab saray chukao gay tum
Mager phir aisa nahi hoa hay
Qadam tumharay kiun thum gaey hain
Kiun hay luknat zubaan mai aai
Nazar pe parday kiun par gaey hain
Kiun hay behissi tum pe chai
Khudara niklo gharon say apne
Hay sakht mushkil watan pe aai
Kiun ruk gaey ho, kiun dar gaey ho???
Humain btao!!!
K Jo dilon ko hilla k rakh dain
Wo Saray manzar
Bus ik kahani si ban gaey hain??

July 14, 2014

Lehjay...!!!

Lehjoun ka zehr qatra qatra
Jb zeest k iss gulshan main ghual
Kuch paicheeda say raaz khulay
Phir parda kuch chehroun say hata

Phir zehr main dooba ye khanjar
Jab nazuk dil k paar hua
Kitni talkhi karwahat ka
Aur nafrat ka ik baagh laga

Mohlik pouday tayyar huay
Or zehr ka karobaar sajaa
Najanay in lehjoun ne yahan
Kitnoun ko pase deewar kiya
Kitnoun ki zubaan bejaan hui
Kitnay hi mehl masmaar huay

Or meethay sachay lafzoun ka
Sb pyar chiraktay jazboun ka
Iss dunya say parchaar gya.
                                             

                                                  (AB)

July 12, 2014

Qateel shifai...

ﻏﺒﺎﺭِ ﺭﮨﮕﺰﺭ ﺟﺐ ﭘﺮﺩﮦِ ﻣﺤﻤﻞ ﭘﮧ ﮔِﺮﺗﺎ ﮨﮯ

ﮨﺮ ﺍِﮎ ﺫﺭّﮦ ﮐِﺴﯽ ﻣﺤﻤﻞ ﻧﺸﯿﻦ ﮐﮯ ﺩﻝ ﭘﮧ ﮔﺮﺗﺎ ﮨﮯ

ﮐِﺴﯽ ﭘﯿﺎﺳﮯ ﮐﻮ ﭘﺎﻧﯽ ﺟﺲ ﻃﺮﺡ ﻣِﻞ ﺟﺎﺋﮯ ﺻﺤﺮﺍﻣﯿﮟ

ﺗﮭﮑﺎ ﮨﺎﺭﺍ ﻣﺴﺎﻓﺮ ﺍﺱ ﻃﺮﺡ ﻣﻨﺰﻝ ﭘﮧ ﮔﺮﺗﺎ ﮨﮯ

ﺍُﮌﺍﺗﯽ ﮨﮯ ﻣﺬﺍﻕ ﺍﺱ ﮐﺎ ﺑﮭﻨﻮﺭ ﮐﯽ ﺣﺸﺮ ﺳﺎﻣﺎﻧﯽ

ﮐِﺴﯽ ﻣﻠّﺎﺡ ﮐﺎ ﭘﺘﻮﺍﺭ ﺟﺐ ﺳﺎﺣﻞ ﭘﮧ ﮔﺮﺗﺎ ﮨﮯ

ﺗﺠﮭﮯ ﺩﮮ ﮔﺎ ﺭﻋﺎﯾﺖ، ﺍﺱ ﻏﻠﻂ ﻓﮩﻤﯽ ﻣﯿﮟ ﻣﺖﺭﮨﻨﺎ

ﻋﺘﺎﺏ ﺍُﺱ ﮐﺎ ﺟﻮ ﮔﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﺗﻮ ﺳﺐ ﻣﺤﻔﻞ ﭘﮧ ﮔﺮﺗﺎﮨﮯ

ﺭﻋﻮﻧﺖ ﺳﮯ ﺟﺴﮯ ﭘﮭﯿﻨﮑﺎ ﮔﯿﺎ ﮨﻮ ﺑﮯ ﮔﻨﺎﮨﻮﮞ ﭘﺮ

ﻭُﮨﯽ ﺧﻨﺠﺮ ﭘﻠﭧ ﮐﺮ ﺳﯿﻨﮧ ﻗﺎﺗﻞ ﭘﮧ ﮔﺮﺗﺎ ﮨﮯ

ﺟﻮ ﺣﯿﺮﺍﮞ ﮨﯿﮟ ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺿﺒﻂ ﭘﺮ ﮐﮩﮧ ﺩﻭ ﻗﺘﯿﻞؔ
ﺍُﻥﺳﮯ
ﺟﻮ ﺩﺍﻣﻦ ﭘﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﮔﺮﺗﺎ۔ ﻭﮦ ﺁﻧﺴﻮ ﺩﻝ ﭘﮧ ﮔﺮﺗﺎ ﮨﮯ

July 8, 2014

mere qalam say....

Hum apne maazi k dhundlakon mai
Na janay kia shay talashtay hain
Humara maazi
Jo guzray waqton ki chand mabhum si khwahishon ko
humaari sochon mai
Is tarha say obharta hay
K jese unkay bina ye jeevan
Bohat kathin hay
Mager ye mumkin hi kis tarha hay
Tamaam khushiyaan, mohabatain or sakoon jo hum ko daur e hazir main mil rahay hain
In ka hona
Humari khush haal saaton ka gawah ban kar
Sari talkhi ko dho raha hay
Mager ye benaam khoj phir bhi
Rawan dawan hay....!!!!
                     
                                               (AB)