July 14, 2014

Lehjay...!!!

Lehjoun ka zehr qatra qatra
Jb zeest k iss gulshan main ghual
Kuch paicheeda say raaz khulay
Phir parda kuch chehroun say hata

Phir zehr main dooba ye khanjar
Jab nazuk dil k paar hua
Kitni talkhi karwahat ka
Aur nafrat ka ik baagh laga

Mohlik pouday tayyar huay
Or zehr ka karobaar sajaa
Najanay in lehjoun ne yahan
Kitnoun ko pase deewar kiya
Kitnoun ki zubaan bejaan hui
Kitnay hi mehl masmaar huay

Or meethay sachay lafzoun ka
Sb pyar chiraktay jazboun ka
Iss dunya say parchaar gya.
                                             

                                                  (AB)

6 comments:

Unknown said...

bohat aalaa !! :)

Rida said...

Waqai achi hay???
Ye b meri hay... :)

Unknown said...

ji waqai achi hai aur ye bhi andaza ho gaya tha k aap ne likhi hai

Rida said...

Acha!! Ye andaza kese hoa??

Unknown said...

bass ho jata hai andaza

Rida said...

Acha ... Hairat hay... :)