July 27, 2010

WO TU NAHI HAY...!

tujhe kaha na..!
k tu hamesha say raaygan mujko sochta hay
wo tu nahi hay..
jo meri chahat meri mohabat
ki dhoop chaaon ka zawiya hay

wo tu nahi hay
teri rafaqat ki chaaon
meri hayat bhi kainat bhi or nijat bhi hay...
magar ye mujh main jo shaairi
ki fizaaen hamwar kar raha hay
wo tu nahi hay..
ye chaar shamain jo muatabar si fiza main
humne guzar li hain...

to ye ghanemat...
ab is say agay jo muntazir ik charaag aasar rasta hay...
wo tu nahi hay..
main manti hon k mere khwaabon main teri khushbo
ki chandni b kahin kahin thi..
ye shair laikin mere hawalay se jisko tasleem kar raha hay
wo tu nahi hay...
wisaal mousam k khwaab main thi,
ya hijr k benishaan dukh k azaab main hon
jo saya saya ikatha kar k dukhon se mujko nikalta hay
wo tu nahi hay.....!!!

July 17, 2010

BOHAT MASROOF HO SHAYED

Zamany bhar k kamo main
bohat masroof ho shayed
hamari yaad b abb to
tumhain kam kam stati hay
hamara naam b aksar
tumhain ab bhool jata hay
tumhari aankh ko abb to
koi sapna nahi dikhta
tumharay dil ko b abb to
koi chehra nahi jachta
hamara naam letay thay
jo har har saans k hamrah
jisay tum dil ki har dharkan ki tarha
yaad rakhtay thay
usi ko bhool janay ka
yehi matlab hoa na phir
zamanay bhar k kamo main
bohat masroof ho shayed

July 15, 2010

TARQEEB

Mujko b tarqeeb sikha koi yaar jolahay..!
aksar tujko dekha hay k tana buntay
jab koi dhaga toot gaya ya khtam hoa to
naya sira koi jor k usmain
agay bun nay lagtay ho
tere is tanay main laikin
ik b gaanth girah bunter ki
dekh nahi sakta hay koi
main nay to ik baar buna tha aik hi reishta
laikin uski saari girhain
saaf nazar aati hain mere yaar jolahay
mujko b tarqeeb sikha koi yaar jolahay....!!!

July 14, 2010

MAAH-E-KAAMIL

bari dilruba thin subhain
bari dilnawaz shamain
main saba ka haath thamay
kisi shabnami jahan main
kya magan si ghoomti thi
main bahar orhti thi
main dhanak pe jhoolti thi
mere har qadam k neechay

ik farsh-e-makhmalin tha
gham-e-zindagi hay kya shay
muje kuch pata nahi tha
meri zeest k falak per
sar-e-aam jhoomtay thay
wo mohabaton k badal
k main jin main bheegti thi
mere dil ko ye guman tha
rahay ga yunhi hamesha
uskay pyaar ka tasalsul

so main khwaab dekhti thi
main ay kash jaan pati
karay waqt ki kaman say
koi teer chal chuka hay
wo jo meri kehkashan main
tha jameel tar sitara
wohi rah badal chuka hay

mere dosto rafeeqo
ay azeez gham gusaaro
wo jo mere dil ki dharkan
wo sada hi kho gai hay
main kisi ko kya bataon
muje khud khabar nahi hay
thay chiragh jispe roshan
ye wo rahguzar nahi hay
dabay paaon zindagi main
hoi gham ki raat shaamil
tah-e-khaak ja chupa hay
kahin mera mah-e-kaamil


(farhat ahsan)

WADA

suna hay is jahan main zindagi ki qehat saali hay
yahan do chaar din jeenay ka aksar zikar hota hay
yahan har cheez faani hay sabhi ko mot ani hay
yahan izhaar kya karna,yahan per pyaar kya karna

magar kuch yun bhi sunta hon...!

k aisa ik jahan hoga
k jis main mot anay ka koi dharka nahi hoga
hayaat-e-javedaan k sab wahan asbaab rakhay hain
ye mera tumse wada hay..!
agar dono wahan mil jain
wahan iqraar kar lain gay
wahan izhaar kar lain gay
wahin phir pyaar kar lain gay...!!!!

Mohabbat khud batati hay

Mohabat khud batati hay
kahan kis ka thikana hay
kisay ankhon main rakhna hay
kisay dil main basana hay
reha karna hay kis kis ko
kisay zanjeer karna hay
mitana hay kisay dil se
kisay tehreer karna hay
gharoonda kab girana hay
kahan tameer karna hay
mohabat khud batati hay

July 12, 2010

DOAA

malik-e-do jahan.!
ye dil-e-natawan
jiskay hisay main aya ziyan hi ziyan
go nigaahain uthanay k qabil nahi
sharam ka baar hay
phir b bakhshish ka tujse talabgar hay
baandho rakht-e-safar to tera saath ho
jiska ehsaas ho bas teri zaat ho
ho karam ki nazar to mere chara gar
aankh paani banay aisi barsaat ho
or larazta hoa apnay aamaal say
jo aagay berhay dahna haath ho
(ameen)