September 29, 2010

Shak

Ik zara si ranjish say

shak ki zard tehni per

phool badgumaani kay

is tarha say khiltay hain

zindagi say pyaaray bhi

ajnabi say lagtay hain.....!

September 27, 2010

KAHO MUJSE MOHABAT HAY...!!!

MOHABAT ki tabeeat main ye kesa bachpana Qudrat ne rakha hay..!!
k ye jitni puraani,
jitni bhi mazboot ho jaay
isay taeed-e-taza ki zaroorat phir bhi rehti hay
yaqeen ki aakhri had tak dilon main lehlahati ho
nigahon se tapakti ho ,
laho main jagmagati ho
hazaron tarha k dil kash haseen halay banati ho
isay izhaar k lafzon ki hajat phir bhi rehti hay
mohabat maangti hay yun gawaahi apne hone ki
k jese tifl-e-sada shaam main ik beej boay
or shab main barha uthay
zameen ko khod kar dekhay
k ye pooda kahan tak hay
mohabat ki tabeeat main ajab takrar ki khoo hay
k ye izhaar kay lafzon ko sun'nay say nahi thakti
bicharne ki ghari ho ya koi milne ki saa'at ho
isay bas aik hi dhun hay....
kaho mujse mohabat hay
KAHO MUJSE MOHABAT HAY....!!!

September 25, 2010

Zaroori hay

Thakay haaray parinday jab baseray k liye lotain

saleeqa mand shaakhon ka lachak jana zaroori hay

bohat bebaak ankhon main taluq tik nahi sakta

mohabat main kashish rakhne ko sharmana zaroori hay

saleeqa hi nahi shayad usay mehsoos karne ka

jo kehta hay Khuda hay to nazar ana zaroori hay

mere honton pe apni pyaas rakh do or phir socho

k is k baad bhi dunya main kuch pana zaroori hay..?

September 23, 2010

JO TUM NE THAAN HI LI HAY...!!!

Jo tum nay thaan hi li hay

hamaray dil say niklo gay

to itna jaan lo janaa

wafa ki seerihiyon per har qadam

phela hoa ye aarzuon ka lahu

zaya na jaay ga

samandar saamnay hoga

agar sahil se niklo gay

sitare jin ki aankhon nay

humain ik saath dekha tha

gawahi dene aain gay

puranay kagazon ki balkoni say

bohat say lafz jhankain gay

tumhain wapis bulain gay

kai waday fasaadi qrz khwahon ki tarha

rastay main rokain gay

tumhari jaan khain gay

chupa kar kis tarha chehra

bhari mehfil se niklo gay..??

zara phir soch lo janaa..!!

nikal to jao gay shayad

magar mushkil say niklo gay

bari mushkil say niklo gay....!!!

September 20, 2010

Bohat hain

jin raahon pe ik umer tere saath raha hon

kuch roz se wo rastay sunsaan bohat hain

mil jao kabhi loat k phir aaon na shayed

kamzoor hon main raah main tofan bohat hain

ik tum hi nahi meri judai main preshan

hum bhi to teri chah main veeran bohat hain

ik tarq-e-wafa pe main usay kese bhula don

mujh per abhi us shakhs kay ehsaan bohat hain

bhar aain na aankhain to main ik baat bataon?

abb tujh se bichar janay k imkaan bohat hain

September 14, 2010

Kuch rang uranay partay hain

kuch rang urhanay partay hain
kuch khwaab sajanay pertay hain
jab dhoop musalsal sar per ho
to saye bananay pertay hain
is rah say tum guzra na karo
hum ranj guzida logon ko
kuch khoon banana parta hay
kuch phool khilanay partay hain
hum hijr mitana chahtay hain
hum tum tak ana chahtay hain
per tum tak kese aain kaho
rastay main zamanay partay hain
us hans ka haal sunain kiya
wo jab bhi kahin say guzarta hay
kya hadya-e-dil kya naqd-e-jaan
baazar laganay partay hain
gham khwaar kisi ko banain kiya
is main bhi khasara apna hay
jo saari umer chupaain hain
wo raaz batanay pertay hai
....................

September 2, 2010

Dawa

Ay chara gar-e-shouq...
koi aisi dawa day...!!!
jo dil say har ik gair ki chahat ko bhula day
bas dekh liya dunya k rishton ka tamasha...
makhlooq say umeed k sab deep bujha day
paakeeza tamanaein b laati hain udaasi...
har zouq-e-talab shouq-e-tamana hi mita day
ik main hun faqat TU ho aur aalam-e-hu ho...
AY husan-e-azal saray hijabaat utha day
hay roh ko har lamha tere wasal ki umeed...
aa zeest ki shab ko kabhi subha hi bana day.....!!!