June 28, 2014

mere qalam se.....

Tumhaari yaad k panchi
Meri betaab chahat
K falak per
Pankh phelaaey
Meri tanhaaiyon per
Is tarha Saya fagun hain k
tumhaaray paas hone ka gumaan rehne laga hay....!!!

                          (AB)

June 21, 2014

mere qalam say....!!!

Anna Kay hathon mai palne walay
Hazzar chehray
K jin kay lehjon mai
Raqs karti khudi ki lau nay
Najanay kitnay hi aashiyaanay
Jala diye hain
Mager ye phir bhi
Khudi k aasaib ko dilon say Bedakhl karne ka hoslaa
Kho chukay hain....
Or inki qismat mai
Jal k bujhna bujh k jalna hi
Likh dia hay....
Koi to ho jo inhain btaey
Anna ki iss khu'n raiz Jung mai
Shikast inki hi muntazir hay...
Mohabaton k haseen gulshan mai
Apni " main " ko jo seenchta hay
Kisi bhi soorat
Zameen usko qabool karne say munharif hay
K uska muskan na aasman pe na is zameen pe kahin nahi hay
Ke ye " khuddi " bemaaeni hay..

                                                          (AB)

mohabat kia hay ???

muhabbat aisa naghma hai
zara bhi jhol ho lai meN
to sur qaayam nahiiN hota

muhabbat aisa shola hai
hava jaisi bhi chalti ho
kabhi maddham nahiiN hota

muhabbat aisa rishta hai
k jis meN bandhne vaaloN ke
diloN meN gham nahiiN hota

muhabbat aisa pauda hai
jo tab bhi sabz rehta hai
k jab mousam nahiiN hota

muhabbat aisa rasta hai
ager pairoN meN larzish ho
to yeh mehram nahiiN hota

muhabbat aisa dariya hai
ke baarish ruuThh bhi jaaye
to paani kam nahiiN hota!

June 11, 2014

aik shair...

Tashkhees bajaa hay k mujhe ishq hoa hay
Nuskhay mai likho, un say mulaqaat musalsal...

June 8, 2014

Dil-e-muztarib

Dil e muztarib
Tujhe kia hoa
Tera chain kiun hawa hoa
Tujhay raas aaein na ulfatain
Teri khwahishain bani hasratain
ye hasratain rahin robaroo
Kiye taar taar tera wujood
Tere gum ka or malaal ka
Teri khwahishon k wabaal ka
Yehi mudda`a....
Ay mere khuda
Tu mujhe bacha
Mera chain mujko tu kr ataa
Meri Hasratain hon musaratain
Mere chaar soo hon mohabatain
Mujhe zeest ka wo sukoon milay
Mere lab pe shukr o sanaa rahay
Ay mere khuda tu sunn sada
Muje bukhsh day jo karon DOA ....

                                                          (AB)

June 1, 2014

SUNO JANAA

Suno janaa
Khfa hona,
Ik aisi baat per k jo
 tumharay aur meray darmyaan
Doori ka baaes ho,
Nahi jachta...
Zara si ranjishain Hain Jo,
Unhain hum dur kar lain gain
Har ik fitnay, har ik mushkil ko hum kafoor kr lain gy...
Pta hy kya?
K ye jo mushkilain hain na...
Dilon main ghar bna k dheeray dheeray
Nafratoon ka rog daiti hain
Yehi nafrat
Humaray iss taluq ki
Haseen chadar mai
Kitnay ched kar day GI
Jinhain seena jinhain bharna
Bara mushkil amal hoga
Suno janaa!
Chalo aao
Hum apni ranjishon KO
Pyaar ki narmi say dhotay Hain
Ik aisay narm o nazuk phool say rishtay ko
Chahat say protay Hain
Chalo aao .....

                        (AB)