bari dilruba thin subhain
bari dilnawaz shamain
main saba ka haath thamay
kisi shabnami jahan main
kya magan si ghoomti thi
main bahar orhti thi
main dhanak pe jhoolti thi
mere har qadam k neechay
ik farsh-e-makhmalin tha
gham-e-zindagi hay kya shay
muje kuch pata nahi tha
meri zeest k falak per
sar-e-aam jhoomtay thay
wo mohabaton k badal
k main jin main bheegti thi
mere dil ko ye guman tha
rahay ga yunhi hamesha
uskay pyaar ka tasalsul
so main khwaab dekhti thi
main ay kash jaan pati
karay waqt ki kaman say
koi teer chal chuka hay
wo jo meri kehkashan main
tha jameel tar sitara
wohi rah badal chuka hay
mere dosto rafeeqo
ay azeez gham gusaaro
wo jo mere dil ki dharkan
wo sada hi kho gai hay
main kisi ko kya bataon
muje khud khabar nahi hay
thay chiragh jispe roshan
ye wo rahguzar nahi hay
dabay paaon zindagi main
hoi gham ki raat shaamil
tah-e-khaak ja chupa hay
kahin mera mah-e-kaamil
(farhat ahsan)
No comments:
Post a Comment