Dehakti aag say roshan hoi ik raat,
or aai sada ik be'qara'n ehsaas k hamraah
Mere lakht e jigger aao
Mai tum KO neend ki us pursakon wadi mai chour aaoun
Jahan per kuch bhi khonay ka
Koi dharka nahi hoga
Jahan per her taraf say mot ka khadsha nahi hoga
Jahan kanon mai phattnay, aag barsaanay ki aawazain,
Tumhain hargiz na cherain gi,
Jahan tum apni marzi ki kisi pyaari si dunyan mai,
Baharain ourh kar phirna
Tum Apne chahnay waloun ko apne samne rakhna
Galay mai baanhe'n dalay apne baba say hazaron, ankahi batain bhi kar lena
Or unse pooch bhi lena, k unka haal kesa hay
Khuda ki mezbani mai bohat aaraam say hon gay
Aur Oonchi masnadon per wo bohat hi shaan say hongay
Salaam un per Jo haq kay raston per sar kata Jaen...
Salaam un per Jo apni asal manzil ko bhi pa Jaen
Mere lakht e jigger jao
Sukon ki waadiyon ki sair ko jao
Ager mohlat mili hum ko
Kay ab k anay wali subh ki kirnain,
Humaari aankh nay dekhin
To qissay sbb sunon gi mai
Tumhaaray khwaab Kay sab jugnowon say bhi milon gi mai
Mager tum jantay ho na
Ye dunya chaar din ki muzmahil faani kahani hay
Ager ik bay'rehm awaaz tum pao, or uskay bad ik aandhi
To tum halkaan matt hona
Ye chnd lamhon ki honi ik bhyanak hadsa hoga
Or uskay baad ka manzar
Tumhaari pursakon dunya ka hi hoga...
Mere lakht e jiger jao khuda Hafiz
Ab apne Rab ki jannat main milain gay
Fe amaan Allah......
No comments:
Post a Comment