Laho mai doobay wo phool chehray
Sadaen deti jawan lashain
Asmaton ko sambhalti , behaal hoti bint e hawa
Sawaal karti zaeef aankhain
Ujarti galiyaan sulagtay aangan
Khon ki nadiyaan chahar janib
Sisak sisak k bula rahi hain
Wo day rahi Hain sadaen tum ko
Kiyn apne ghar k sakoon mai tum
Bhulaey bethay ho dard unka
Wo pochtay hain kab Aao gay tum
Mard e momin ki meraas hay jo
Wo shan apni dikhao gay tum
Palat k rakh do gay bazi unki
Hisaab saray chukao gay tum
Mager phir aisa nahi hoa hay
Qadam tumharay kiun thum gaey hain
Kiun hay luknat zubaan mai aai
Nazar pe parday kiun par gaey hain
Kiun hay behissi tum pe chai
Khudara niklo gharon say apne
Hay sakht mushkil watan pe aai
Kiun ruk gaey ho, kiun dar gaey ho???
Humain btao!!!
K Jo dilon ko hilla k rakh dain
Wo Saray manzar
Bus ik kahani si ban gaey hain??
2 comments:
:'(
Silence..... :(
Post a Comment