Muskurahat tabassum hansi qehqahay
sab k sab kho gaey
hum baray ho gaey
zimedaari musalsal nibhatay rahain
bojh oron ka khud hi uthatay rahain
apne dukh soch kar roein tanhai main
mehfilon main magar muskuratay rahein
kitne logon say abb mukhtalif ho gaey
hum baray ho gaey
aur kitni musafat hay baqi abhi
zindagi ki hararat hay baqi abhi
wo jo hum say baray hain salamat rahein
un sabhi ki zaroorat hay baqi abhi
JO THAPAK KAR SULATAY THAY KHUD SO GAEY
hum baray ho gaey
khatam hone ko ab zindagani hoi
janay kab aai or kiya jawaani hoi
dekhtay dekhtay kiya say kiya ho gaya
jo haqeeqat thi abb wo kahani hoi
manzilain mil gaen
humsafar kho gaey
hum baray ho gaey....!!!