September 26, 2011

Lamha-e- Fikar

Sharafat sozz tasweeron ki uryaani nahi jati...
adab ki aar main targheeb e roomaani nahi jaati
Khuda maaloom nasl e nau ka kia anjaam hota hay..
watan say fahash naghmon ki faraawaani nahi jaati
azaab aaye to us main sainkron ki jaan jaati hay..
nahi jaati to shetaanon ki shetaani nahi jaati
kahin basti ki basti do boond paani ko tarasti hay...
kahin barish barasti hay to tughyaani nahi jaati
jahan k zarray zarray say numanyaan hay jalaal us kaa
magar humse KHUDA ki zaat pehchaani nahi jaati...!
zamana is qadar qail hoa hay Faiz jhooton ka...
jo sach kehtay hain unki aik bhi maani nahi jaati...!!!

September 9, 2011

.....

Jab shaam ky saa'ey dhaltay hon
kuch panchi qataar main urte hon
kuch rasta kathin ho wese bhi
kuch door ufaq pe manzil ho
ik panchi gaaeb ho jaey
or bedam ho kar gir jaey
to rishtay natay pyaray sabhi
kab is ki khatir ruktay hain
is dunya ki hay reet yehi
jo saath chalo to saath bohat
gar ruk jao to tanha ho...