January 31, 2014

Wafaa say rabta rakhna....

Mai ye tasleem karta hon
Muje ulfat k rastay per
Wafa ki haq parasti per
Baraa hi naaz hay Janaa
Mai jitnay khwaab buntaa hon
Mai jitnay lfz likhta hon
Meri tehreer mai shamil
Mere lafzon ki akaasi
Meri khud aagahi her pal
Muje yun dars deti hay...
Ager tum haar bhi jao
To itna hosla rakhna
Wafaa say raabta rakhna..!!
Mohabat k safar mai to
Wafaa hi shrt e awal hay
Wafaa hi harf e aakhir hay...


January 27, 2014

:(

Mai jab guzray dino ki talkhiyon ko bhool jata hon
Mujhe phir se koi beetay zamanay bhej deta hay....!!

January 24, 2014

January 21, 2014

Aarzoo...

Na aaj lutf kar itna k kal guzar na sakay
WO raat Jo tere gesoowon ki raat nahi
Ye aarzoo bhi bari cheez hay magr humdum...
Visaal e yaar faqat aarzoo ki Baat nahi..!!

(Faiz Ahmed Faiz)

January 19, 2014

Socho kitnay fasaad hotay....???

Sumandr saraay shraab hotay to socho kitnay fasaad hotay
Gunah na hotay sawaab hotay to socho kitnay fasaad hotay..??
Kis k dil mai kia chupa hay ye to Rabb hi janta hay..!
Dil ager benaqaab hotay to socho kitnay fasaad hotay..??
Thi khamoshi hamaari fitrat Jo chand barson bhi nibh gai hay
Humaray mun main jawaab hotay to socho kitnay fasaad hotay...??
Unki nazrain na jaan paaen achaiaan humari
Hum jo such mai khraab hotay to socho kitnay fasaad hotay...??