Mujhe khamosh rehnay do
Mujhe chup chaap ronay do
Meri aankhon say jo tapkain
Sabhi ashkon KO behnay do
Mujhay chup chaap ronay do
Tumhain ehsaas hi kab hay
Jo mere dil pe guzri hay
Tumhari berukhi nay Jo
Meray Charon taraf bikhri hoi
Khushyaan jala di hain
Meri aankhon mai sapnon ki
Sabhi shamain bujha di hain
Mere dil mai pnaptay narm o nazuk say
Kai jazbay
K mehwar jinka tum hi thay
Sabhi bejaan lagtay hain
Wo khushyon k sabhi lamhay
Jinhain mai ne
Tumharay sang jeenay Kay
Bohat say khwaab dekhay thay
Wo lamhay kho gaey hain abb
Suno janaa
Mere khwaabon ki dunyaa KO
yun phir weeraaniyan day ker
Mujhe Tanha kia tum ne
Mere dil KO gumaan tha ye
K mere khof ka hr dard ka tumhi madawa ho
Muje yun chor ker tumne
Kiun mera gumaan tora
Kiun mere maan ko mere bharam ko rond dala hay
Main in zakhmon ka marham abb kahan say dhoond ker laaon
K tumhi say milay hain ye
Tumhi inka maseeeha ho....
Magar hamdam, suna to tum ne bhi hoga,
K aakhir ko tou jeena hai,
Maseeha mil hi jata hai
Ye kaliyan khil hi jati hain
Suno ham dam
Mujhay uss charkh e neeli faam ki dooji taraf se yun, bht arsa hua ik din
Sahara mil gya hai na
Wohi mera maseeha hai
K meri wehshatoun ka ab wohi wahid madawa hai.
Mujhay wo dard detay kaat'tay beetay huay lmhay, mehz sairab lgtay hain...
No comments:
Post a Comment