DECEMBER
December Jab bhi ata hai
wo pagli...
phir se beety mosumo'n ki
talkhion ko
yad karti ha
purana card perhti hai
k jis main os ne
likha tha
Main Lauton ga December main
Nai Kapry bnati hai
wo sara ghar sjati hai
December k her ik din ko
wo gin gin ker bit'tati hai
junhi 15 guzarti hai
wo kuch kuch toot jati hai
magar phir bi
purani albumo'n ko khol ker
mazi bulati hai !!!
nahi maloom ye osko
k beety waqt ki khushian
Bohat takleef deti hain
mehaz dil ko jalati hain...
yunhi din beet jaty hain
December laut jata hai
magar wo Khush feham larki...
dobara se calendar main
December k maheeny k safhy ko
mor ker, phir se
Phir se
December ke sahar main
Doob jati hai
k akhir os ne likha tha....
Main Lauton ga December main.....
2 comments:
December jab bhi ata hay
Taka k sardi parrti hay
To saray ghar k bachon ki
Barabar nosy behti hay
Kabhi anday kabhi yakhni Kabhi goli kabhi syrup
ajab kuch antibiotic faza makhmoor rehti hay
Kabhi jo sab ka dil chahay, pakoray ghar main bantay hain
Kisi din darul mahi se, fry machhli aati hay
Agar light chali jaay to koi khas nahi masla
December main kahan AC ki koi need rehti hay
junhi 15 guzarti hay
To ik tension bhi aati hay
K ghar main gas ki qillat achanak sar uthaati hay
Kabhi choolhay kabhi heater hamara moonh charhatay hain
Kabhi CNG ki 6 din main kaheen aik baari aati hay
Yunhi deen beet jatay hain
December laut jata hay
To phir yeh sakht sardi bhi zara si kam ho jati hay
Aur ENT ka Doctor bhi barray dukh se ye kehta hay
Main lauton ga December main....
:D nice description of Dec .... Is say ziada non romantic description ho nai sakti is ki :)
Post a Comment