January 31, 2012

Aadat...

Abb kisi aur ko chahon to shikayat kesi..!!
Mujh se bichray ho mohabbat meri Aadat kar ky..!

January 25, 2012

Qatta...

Gardish k baad zaat ka mehwar mila mujhe
Jis se nikal gya tha wohi ghar mila mujhe
Zaray k ik juzz say khula raaz-e-kainaat
Qatray ki wusatoon main samander mila mujhe....!

January 24, 2012

JO CHALAY TO JAAN SAY GUZAR GAEY....

Tujhay kia khabar mere haal ki
mere dard mere malaal ki
ye mere khyaal ka silsila
kisi yaad say hay mila hoa
usay dekhna usay sochna
meri zindagi ka hay faisla
ye usi ki palkon k saaey hain
meri roh main jo uter gaey
ye junoo-e-manzil-e-ishq hay
jo chalay to jaan say guzar gaey
mujhe is muqaam pe chorna
hay ye bewafaai ki intehaa
ye qafas ho jese khuli faza
yahin sukh ka saans main lon sada
jinhain teri deed ki pyaas thi
wo katoray renon say bhar gaey
ye junon-e-manzil-e-ishq hay
jo chalay to ja say guzar gaey....!!

January 19, 2012

Wo Humsafar tha.....

Tark-e- taluqaat pe roya na tu na main
Laikin ye kiya k chain say soya na tu na main
Wo humsafar tha magar us say humnawaai na thi
K dhoop chaaon ka aalam raha judaai na thi
Kuch is adaa say ajj wo pehloo nasheen rahay
Jab tak humaray paas rahay, hum nahi rahay
ADAWATAIN THIN TAGHAFUL THA RANJISHAIN THIN BOHAT
BICHARNE WALAY MAIN SAB KUCH THA BEWAFAAI NA THI
K dhoop chaaon ka aalm raha judaai na thi
Wo humsafar tha.......
BICHARTE WAQT UN AANKHON MAIN THI HUMAARI GHAZAL
GHAZAL BHI WO JO KISI KO KABHI SUNAAI NA THI
Wo humsafar tha magar us say humnawaai na thi
k dhoop chaaon ka aalam raha judaai na thi
kabhi ye haal k dono main yak dili thi bohat
kabhi ye marhala jese k aashnaai na thi
wo humsafar tha magar us say humnawaai na thi
mohabaton ka safar is tarha se bhi guzra tha
shikasta dil thay musaafir shikast paai na thi
k dhoop chaaon ka aalam raha judaai na thi
wo humsafar tha.......

January 17, 2012

Dekha usko

Moom ki tarha pighalte howe dekha usko
Rut Jo badli to badalte howe dekha usko
Jane kis ghum ko chupane ki tamanna hay usay
Aaj har Baat per hanste howe dekha usko
Wo Jo kanton ko bhi narmi se chuwa karta tha
Hum ne pholon ko masalte howe dekha usko
Najane wo duaon Mai mangta hay kisse
Haath uthate hi sisakte Howe dekha usko
Phir haath dua k liye uthaay hum ne
Jab muqadar se ulajhte howe dekha usko

January 4, 2012

Chalo ab mil k...

Chalo ab Mil k Hijr-o-Habs ka mosam badaltay hain
Zara sa Tum badal jao zara sa Hum badaltay hain...
Bas itna yaad rakh lena k wese kam badaltay hain
Magar jab Hum badaltay hain to phir Peham badaltay hain
Agar tum ye samajhtay ho tumhara Ghum ziada hay
To ab ki baar apas main hum apne gham badaltay hain..!!