January 4, 2012

Chalo ab mil k...

Chalo ab Mil k Hijr-o-Habs ka mosam badaltay hain
Zara sa Tum badal jao zara sa Hum badaltay hain...
Bas itna yaad rakh lena k wese kam badaltay hain
Magar jab Hum badaltay hain to phir Peham badaltay hain
Agar tum ye samajhtay ho tumhara Ghum ziada hay
To ab ki baar apas main hum apne gham badaltay hain..!!

2 comments:

Madhukar said...

Lovely.


To ab ki baar apas main hum apne gham badaltay hain. Is it possible ?

Anonymous said...

Poets har cheez ko possible bna dete hain poetry main...ankhon main b to unko samander nazar aa Jatakas hay...baall kaali ghataon jese nazar aaty hain or hont gulaab ki pankhari jese late hain or b pata nahi Kia Kia....to phir gham b badalay ja sakte hon gay...:D