January 19, 2012

Wo Humsafar tha.....

Tark-e- taluqaat pe roya na tu na main
Laikin ye kiya k chain say soya na tu na main
Wo humsafar tha magar us say humnawaai na thi
K dhoop chaaon ka aalam raha judaai na thi
Kuch is adaa say ajj wo pehloo nasheen rahay
Jab tak humaray paas rahay, hum nahi rahay
ADAWATAIN THIN TAGHAFUL THA RANJISHAIN THIN BOHAT
BICHARNE WALAY MAIN SAB KUCH THA BEWAFAAI NA THI
K dhoop chaaon ka aalm raha judaai na thi
Wo humsafar tha.......
BICHARTE WAQT UN AANKHON MAIN THI HUMAARI GHAZAL
GHAZAL BHI WO JO KISI KO KABHI SUNAAI NA THI
Wo humsafar tha magar us say humnawaai na thi
k dhoop chaaon ka aalam raha judaai na thi
kabhi ye haal k dono main yak dili thi bohat
kabhi ye marhala jese k aashnaai na thi
wo humsafar tha magar us say humnawaai na thi
mohabaton ka safar is tarha se bhi guzra tha
shikasta dil thay musaafir shikast paai na thi
k dhoop chaaon ka aalam raha judaai na thi
wo humsafar tha.......

2 comments:

WritingsForLife said...

so beautiful :-)

Rida said...

Thank u raajii...it's one of my recent fav ghazal..:)