May 13, 2011

Zara Socho....!!!

zara socho...!!
ye hum ko tumse kehna hay
kahan janay ki jaldi hay?
yahan mosam nahi acha
zara us paar chaltay hain
nadi ka saaf pani hay
wahan phoolon main bethain gay
falak per chand aay ga
sitaray timtimaen gay
khilay gi raat ki raani
to khushboo phail jaey gi
abhi batain shuru hon gi
k aisay main koi jugnoo
hamaray paas aay ga
hamari baat sun kar
jugno'oun ko wo bataey ga
hamaray pyaar ki batain
subha tak saray gulshan main
musalsal ho rahi hon gi
ye batain titliyan ja kar
kahin bachon say keh dain gi
to bachay kab samjhtay hain?
wo ja kar ghar bataen gay
shehar bhar ki zabanon per
yehi kalmaat aaen gay
"ye kesi sharaafat hay?"
zara socho...!! humain ye kab gawara hay?
hamari chahton kay log afsaanay bana daalain
humain ye kab guwara hay?
k har so hum hi mujrim hon
zara socho...!!
ye humko tumse kehna hay
na aao tum na hum bethain
ye batain gar rahain dil main
to acha hay
humain tumse nahi kehna...
"HUMAIN TUMSE MOHABAT HAY"

No comments: