Mohabat khwaab hoti hay
Bohat betaab hoti hay
Ye tarr aankhoun k peechay
Ik numayan raaz hoti hai
Ye kuch palkoun k peechay
Neend ki wadi mai palti or panapti hay
meray jazbon mere ehsaas ki dunyaa sajaati hay
Ye meri zaat ko arz-e-pareshan say utha kar arsh pe chalna sikhaati hay
Mere charon taraf ye naghmagi si ban k chaati hay
Mujhe abaad karti hay
Mujhe jeena sikhaati hay
Mager jab aankh khul jaye
Mohabat maat hoti hay
Bujhi ankhon ko ye har damm lahu aansoo rulaati hay
Mere qadmoun k neechay khar ki chadar bichaati hay
Meray hi aashiyanay main
Sulagti aag bharti hai
Mere shahpar jalati hay
Mujhe noha gari ka fun sikhaati hay
Meray bedaar honay tak
Haqeeqat ko chupati hai
Magar jb waqt bedaari ka hota hai
Ye meri ankh k khulnay say pehlay hi
fanaa ka asal hoti hay
Phir uss k baad har lamha
Muhabbat maat houti hai
Mohabat khwaab hoti hay..
(AB)
4 comments:
Wah. Buhut achay. Honest emotions hain sirf alfaz ka khel nahi hai.
Thank you very much...its really appreciating that a new reader bothered to stop by and comment on my really first creation...thanks again....keep visiting :)
Very nice first attempt... impressive!!! waiting for more...
Thank you for liking...:) another one is published :)
Post a Comment