Bheer main zmanay ki
haath choot jatay hain
dost daar lehjon main , silvatain si parti hain
ik zara si ranjish say
shak ki zard tehni per
phool badgumani k , is tarha say khiltay hain
zindagi say pyaray bhi
ajnabi say lagtay hain , zehr ban k miltay hain
umar bhar ki chahat ko aasra nahi milta
dasht-e-beyaqeeni main raasta nahi milta
khamoshi k waqfon main
baat toot jaati hay or sira nahi milta
mazarat k lafzon ko roshni nahi milti
lazat-e-pazeeraaee phir kabhi nahi milti
phool rang vadoon ki
manzilain sukarti hain
rooh marne lagti hay
berukhi k gaaray say , bay dilli ki matti say
faaslay ki eenton say eent jurne lagti hay
khaak urnay lagti hay
khwaab toot jatay hain
vahemon k saay se , umar bhar ki mehnat ko
pal main loot jatay hain
ik zara si ranjish say
saath choot jatay hain
bheer main zamanay ki
haath choot jatay hain
khwaab toot jatay hain...!!!
No comments:
Post a Comment