October 4, 2010

Wafa...!

Wafa ki jail say bhaga hoa majboor qedi hon
agar dil ki adaalat main
tumhain mera khyaal aay...
to mujh ko yaad k dhundlay katehray main talab karna
mere lafzon meri baaton ko
dil hi dil main dohrana...
to phir shayad tumhain
mera koi purana naqsh mil jaay
jo meri begunaahi ki
adaalat main gawaahi day
yehi meri tamana hay
k tum mujhko wohi samjho
jo main tumko samjhta tha..
tumhain ab tak samjhta hon..
mere dereena saathi ho
tumhain ye to khabar hogi
k main apni safaai main
kabhi kuch bhi nahi kehta
agar phir bhi....
kisi pehlo say main mujrim nazar aaon...!
wafa ki raah main nadaan samajh kar dar guzar karna....!!!

3 comments:

Anonymous said...

Beautiful .... touching words ..!!

Rida said...

hay na?? its really touching... thank you for liking by the way :)

Aamir Shahzad said...

May i know k ye kin ka kalam hai? WAFA KI JAIL SE BHAGA HOA MAJBOOR QAIDI HON